Friday, 13 December 2013

Wo jo sach boltay rehnay ki kasam khaaty hain...Pashto Sad Poetry, Pashto Poetry, Sad Poetry, Pashto Shairy,

 
Wo jo sach boltay rehnay ki kasam khaaty hain
 Wo adalat main gunahgar howa krty hain,
 
 Sirf hathon ko na daikho kabhi ankhain bhi parho
 Kuch sawali baray khud-dar hua karty hain,
 
 Wo jo pathar yunhi rastay may paray rehtay hain
 Un ky seenay may bhi shahkar hua krty hain,
 
 Subah ki pehli kiran jin ko rula daiti ha
 Wo sitaron ky azadar hua karty hain,
 
 Jin ki ankhon may sada pyar ky sehra chamkain
 Dar haqeeqat wohi funkar hua krty hain,
 
 Sharam ati hai dushman kisay smjhain muhsin
 Dushman ky bhi kuch mayar hua karty hain.

No comments:

Post a Comment