Chicks These Days are CRAZY

Friday 29 November 2013

Ilm-o-Ishq, Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan, Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Urdu Poetry, Allama Iqbal Picture Poetry, Iqbal Poetry, Iqbal Picture Poetry, Urdu Poetry By Allama Iqbal,


Ilm-o-Ishq

 Ilm Ne Mujh Se Kaha Ishq Hai Diwana-Pan
 Ishq Ne Mujh Se Kaha Ilm Hai Takhmeen-o-Zan

 Band-e-Takhmeen-o-Zan! Kirm-e-Kitabi Na Ban
 Ishq Sarapa Huzoor, Ilm Sarapa Hijab!

 Ishq Ki Garmi Se Hai Maarka-e-Kainat
 Ilm Maqam-e-Sifat, Ishq Tamasha-e-Zaat

 Ishq Sukoon-o-Sabat,Ishq Hayat-o-Mamat
 Ilm Hai Paida Sawal, Ishq Hai Pinhan Jawab!

 Ishq Ke Hain Maujazat Saltanat-o-Faqr-o-Deen
 Ishq Ke Adna Ghulam Sahib-e-Taj-o-Nageen

 Ishq Makan-o-Makeen, Ishq Zaman-o-Zameen
 Ishq Sarapa Yaqeen, Aur Yaqeen Fatah-e-Bab!

 Shara-e-Mohabbat Mein Hai Ishrat-e-Manzil Haraam
 Shorish-e-Toofan Halal, Lazzat-e-Sahil Haraam

 Ishq Pe Bijli Halal, Ishq Pe Hasil Haraam
 Ilm Hai Ibn-Ul-Kitab, Ishq Umm-Ul-Kitab!

No comments:

Post a Comment