Chicks These Days are CRAZY

Friday 15 November 2013

Nahin minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan meri, Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Urdu Poetry, Allama Iqbal Picture Poetry, Iqbal Poetry, Iqbal Picture Poetry, Urdu Poetry By Allama Iqbal,


Nahin minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan meri
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan meri

Ye dastuur-e-zabaan-bandii hai kaisii terii mahafil mein
Yahaan to baat karne ko tarastii hai zabaan merii

Uthaaye kuch varaq laalaa ne kuch nargis ne kuchh gul ne
Chaman mein har taraf bikharii huyii hai daastaan merii

Uraa lii qumariyon ne tootiyon ne andaliibon ne
Chaman vaalon ne mil kar looT lii tarz-e-fugaan meri

Tapak ai shama aansuu ban ke parvaane kii aankhon se
Saraapaa dard hoon hasrat bharii hai daastaan merii

Ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaan duniyaa mein rahne kaa,
hayaat-e-jaavidaan merii na marg-e-naagahaan merii...........

No comments:

Post a Comment