Sadiyon se insaan yeh sunta aya hai
Dukh ki dhoop ke agey sukh ka saya hay,
Dukh ki dhoop ke agey sukh ka saya hay,
Hum ko in sasti khushiyon ka bhoj na do
Hum ne soch samajh ke gham apnaya hay,
Hum ne soch samajh ke gham apnaya hay,
Jhoot to kaatil thehra, is ka kya rona
Sach ne bhi insaan ka khoon bahaya hay,
Sach ne bhi insaan ka khoon bahaya hay,
Pedaayesh ke din se maut ki zadd mein hain
Iss maktal mein kon humain le aya hay,
Iss maktal mein kon humain le aya hay,
Awal awal jis dil ne barbaad kiya
Aakhir aakhir woh dil hi kaam aya hay,
Aakhir aakhir woh dil hi kaam aya hay,
Itne din ehsaan kiya deewanon per
Jitne din logon ne sath nibhaya ha
Jitne din logon ne sath nibhaya ha
No comments:
Post a Comment