Chicks These Days are CRAZY

Wednesday 11 December 2013

Baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tak, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry,Urdu Ghazals, Love Shayari,

 
Baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tak
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tak
 
 ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
 kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tak
 
 ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
 yun hi bahanay qaim rakhna, tum meray mar jaanay tak
 
 itna hi kehna hay tum say, mumkin ho tou aa jaana,
 aa hi gayee tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tak

No comments:

Post a Comment