Kaash mein terey haseen haath ka kangan hota
Toou barey chaao se, barey maan ke saath
Apni nazuk si kalaai mein charhati mujh ko
Aur betaabi se furqat ke khizaan lamhoon mein
Toou kissi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko
Mein terey haath ki khusboo se mehek sa jata
Jab kabhi mood mein aa kar mujhey chooma karti
Terey honton ki mein hiddat se dehek sa jata
Raat ko jab bhi toou neendon ke safar par jati
Murmareen haath ka ek takiya banaya karti
Mein terey kaan se lug kar kai baatein karta
Teri zulfon ko terey gaal ko chooma karta
Jab bhi tu band qaba kholney lagti janaan
Apni aankhon ko terey husn se kheera karta
Mein teri rooh ke gulshan mein mehekta rehta
Mein terey jism ke aangan mein khanakta rehta
Kuch nahin tu yahi be-naam sa bandhan hota
Kaash mein terey haseen haath ka kangan.

No comments:
Post a Comment