Hissa Soum (1908 Se....)
Part Three (1908 Onwards...)
BILAD E ISLAM
Sarzameen Dilli Ki Masjood-E-Dil-E-Gham Didah Hai
Zarre Zarre Mein Lahoo Aslaaf Ka Khawabidah Hai
Paak Iss Ujhre Gulistan Ki Na Ho Kyunkar Zameen
Khanqah-E-Azmat-E-Islam Hai Ye Sarzameen
Sote Hain Iss Khaak Mein Khair-Ul-Ummam Ke Tajdar
Nazam-E-Alam Ka Raha Jin Ki Hukumat Par Madar
Dil Ko Tarpati Hai Ab Taak Garmi-E-Mehfil Ki Yaad
Jal Chuka Hasil Magar Mehfooz Hai Hasil Ki Yaad
Hai Ziaratgah-E-Muslim Go Jahan Abad Bhi
Iss Karamat Ka Magar Haqdar Hai Baghdad Bhi
Ye Chaman Woh Hai Ke Tha Jis Ke Liye Saman-E-Naz
Lala’ay Sehra Jise Kehte Hain Tehzeeb-E-Hijaz
Khak Iss Basti Ki Ho Kyunkar Na Humdosh-E-Iram
Jis Ne Dekhe Janasheenan-E-Peyambar (S.A.W.W.) Ke Qadam
Jis Ke Gunche The Chaman Saman, Woh Gulshan Hai Yehi
Kanpta Tha Jin Se Roma, Un Ka Madfan Hai Yehi
Hai Zameen-E-Qurtuba Bhi Didah-E-Muslim Ka Noor
Zulmat-E-Maghrib Mein Jo Roshan Thi Misl-E-Shama-E-Toor
Bujh Ke Bazm-E-Millat-E-Baiza Preshan Kar Gyi
Aur Diya Tehzeeb-E-Hazir Ka Farozaan Kar Gyi
Qabar Uss Tehzeeb Ki Ye Sarzameen-E-Paak Hai
Jis Se Taak-E-Gulshan-E-Yourap Ki Rag Namnaak Hai
Khitta-E-Qustuntuniya Yani Qaisar Ka Diyar
Mehdi-E-Ummat Ki Satwat Ka Nishan-E-Paidar
Soorat-E-Khaak-E-Haram Ye Sarzameen Bhi Paak Hai
Astaan-E-Masnad Araye Shah-E-Loulaak (S.A.W.W.) Hai
Nikhat-E-Gul Ki Tarah Pakeezah Hai Iss Ki Hawa
Turbat-E-Ayub Ansari (R.A.) Se Ati Hai Sada
Ae Musalman! Millat-E-Islam Ka Dil Hai Ye Shehar
Saikron Sadiyon Ki Kusht-O-Khoon Ka Hasil Hai Ye Shehar
Woh Zameen Hai Tu Magar Ae Khawab Gah-E-Mustafa (S.A.W.W.)
Deed Hai Kaabe Ko Teri Hajj-E-Akbar Se Sawa
Khatam-E-Hasti Mein Tu Taban Hai Manind-E-Nageen
Apni Azmat Ki Waladat Gah Thi Teri Zameen
Tujh Mein Rahat Uss Shehanshah-E-Moazam (S.A.W.W.) Ko Mili
Jis Ke Daman Mein Aman Aqwam-E-Alam Ko Mili
Naam Lewa Jis Ke Shahanshah Alam Ke Huway
Janasheen Qaisar Ke, Waris Masnad-E-Jim Ke Huway
Hai Agar Qoumiat-E-Islam Paband-E-Maqam
Hind Hi Bunyaad Hai Iss Ki, Na Faris Hai, Na Shaam
Ah Yasrib! Dais Hai Muslim Ka Tu, Mawa Hai Tu
Nukta’ay Jazib Tassar Ki Shuaon Ka Hai Tu
Jab Talak Baqi Hai Tu Dunya Mein, Baqi Hum Bhi Hain
Subah Hai Tou Iss Chaman Mein Gohar-E-Shabnam Bhi Hain