Nahin minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan meri
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan meri
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan meri
Ye dastuur-e-zabaan-bandii hai kaisii terii mahafil mein
Yahaan to baat karne ko tarastii hai zabaan merii
Uthaaye kuch varaq laalaa ne kuch nargis ne kuchh gul ne
Chaman mein har taraf bikharii huyii hai daastaan merii
Uraa lii qumariyon ne tootiyon ne andaliibon ne
Chaman vaalon ne mil kar looT lii tarz-e-fugaan meri
Tapak ai shama aansuu ban ke parvaane kii aankhon se
Saraapaa dard hoon hasrat bharii hai daastaan merii
Ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaan duniyaa mein rahne kaa,
hayaat-e-jaavidaan merii na marg-e-naagahaan merii...........
No comments:
Post a Comment