Yeh Zindage Ka Safar Tha Kabhi Buhat Dushwar
Huwa Hai Abb Bhi Aasan Teri Rifaqat Se,
Huwa Hai Abb Bhi Aasan Teri Rifaqat Se,
Ya Rab Humein Talash Kisi Hum Safar Ki Thi
Laiken Yahan To Koi Na Apna Dekhae De,
Laiken Yahan To Koi Na Apna Dekhae De,
Har Gam Teri Yaad Mein Saath Saath Thi
Mein Dekhne Mein Yun To Akela Safar Mein Tha,
Mein Dekhne Mein Yun To Akela Safar Mein Tha,
Kisi Ko Gher Se Nikalte Hi Mil Gai Manzil
Koi Hamari Tarah Umar Bhar Safar Mein Raha,
Koi Hamari Tarah Umar Bhar Safar Mein Raha,
Mein Ne Kaha Tha Aag Ka Darya Hai Zindage
Abb Hum Safar Bane Ho To Himmat Se Kaam Lo,
Abb Hum Safar Bane Ho To Himmat Se Kaam Lo,
Safar Ka Saath Hai Yeh Manzilon Ka Saath Nahi
Guzar Hi Jaen Ge Lamhe Hisab Rehne Do,
Guzar Hi Jaen Ge Lamhe Hisab Rehne Do,
Woh Log Uth Gaye Jin Se Saroon Per Saaya Tha
Jo Hum Safar Hain Woh Pehle Se Maherban Na Tha,
Jo Hum Safar Hain Woh Pehle Se Maherban Na Tha,
Taweel Ho Na Kahien Apni Chahaton Ka Safar
Suna Hi Ahl-E-Talb Umar Bhar Tarapte Hain.
Suna Hi Ahl-E-Talb Umar Bhar Tarapte Hain.
No comments:
Post a Comment